Thursday, June 3, 2021

Sawan-E-Umri

Hazrat Peer Makhdoom Khairuddin Daryanisar Ansari (r.a)

Aap ki paidaish Afghanistan ke shaher Herat me hui , aap ke walid majid ka naam Hazrat Nizamuddin Ansari tha , jo ki us waqt ke mashhoor zamana buzurg Hazrat Jamaluddin Ansari (r.a) ke bete the . Is tarah se apka nasbi silsila Hazrat Abu Ismail Abdullah Ansari Herati (qud sirrahu al aziz) se milta hai . 

Agar che aap apne khandan ke zahiri-o-batini qamalat se malamal the lekin khoob se khoob taraqqi-e-talash men aur apni akhirat ko sanwarne ke liye ek peer-e-kamil ke firaq men Hindostan hijrat farmayi . Aap ne Dehli aur fir Awadh ke ek qasbah Sidhdhaur ( jo ke maujuda waqt men U.P ke ek zilah Barabanki me hai) ko apna mustaqar banaya . Dauran hijrat mutaddid ulma-o-mashaikh ki ziyarat ka sharaf hasil kiya . 

Isi dauran apko khabar hui ki qasbah Jayes ( jo ki maujuda U.P ke zilah Amethi men hai) men koi sufi buzurg aae hain aur loag zauq dar zauq unse bait ka sharaf hasil kar rahe hain . Wo buzurg Hazrat Peer Makhdoom Sultan Syed Ahaduddin Jahangir Ashraf Simnani (qud sirrahu al aziz) the .

Al-gharaz Hazrat Khairuddin Daryanisar (r.a) jab peer-o-murshid ki khidmat-e-aliya men hazir hue to unhone irshad farmaya "KHAIRUDDIN DER SE AAE HO , KHAIR BAITHO" fir wo un logon se mutawajjo ho gae jo wahan pahle se baithe hue the . 

( Is taraf ye halat thi ki apna naam baghair batae sunkar ye zahir ho gaya tha ki meri talash puri hui aur dil murshid ke qadmon men sujood karne laga , lekin kuch masa'el par tardid thi jinke jawab wo abhi kisi se na paae the aur sawal dil men liye hue the )

Jab loag chale gae to hazrat ne apne aaqa Hazrat-E-Simnani ke qadam-e-pak pakad liye aur apni ghulami men lene ki darkhwast ki , tab PEER-E-TARIQAT ne farmaya " TUMNE APNE SAWAL TO ABHI KIYE HI NAHI " hazrat Khairuddin ne farmaya 'Huzur Tashfi ho gayi' . Main to Sarwar-E-Qaynat Sarkar-E-Do jahan MUHAMMAD MUSTAFA ( S.A.W) ki hidayat par apki hi talash men tha, Jawab mila " MAIN BHI TUMHARI HI TALASH MEN THA " .

"KAJAL DARA KIRKIRA JO SURMA DIYA NA JAAE,

JIN NAINAN MA PEE BASE TO DUJA KAUN SAMAAE. "

                              (Khusro)

Ataye Khilafat 

                                Gharaz ki peer-o-murshid ki khidmat-e-aliya men kuch arsa qayam ke baad qasbah Sidhdhaur ko Wilayat-o-Khilafat ke sath wapis aae. Chunki murshid ne Sidhdhaur men qayam aur tabligh-e-deen ka hukm diya tha isliye un ki ijazat se wapis Herat gae aur apne ahle khana ko lekar Sidhdhaur aa gae aur yahin muqeem hue . 

Aap ne fir hazarhaan logon ko musalman kiya aur qurb-o-jawar ke awam-o-khas aap ke be inteha motqid aur mureed hue . 

" LAAL NA RANGAAU HARI NA RANGAAU,

APNE HI RANG MEN RANG DO CHUNARYA. "

Ataye Laqab Daryanisar

                                                    Ek baar kuch na samajh logon ne Hazrat Ashraf Jahangir Simnani ( qud sirrahu al aziz ) se shiqayet ki ke Khairuddin wazu karne men be inteha waqt lete hain aur paani zayah karte hain, Is ke jawab men peer-o-murshid ne irshad farmaya " KHAIRUUDIN HAR WAQT AALAM-E-SAHU MEN ALLAH KE NOOR KE DEEDAR MEN MUSTAGHRIQ RAHTE HAIN AUR AGAR WAZU MEN AAP HAUZ-E-QAUSAR BHI SARF KAR DALEN TO AJAB NAHI " fir Hazrat ne aur tashreeh karte hue farmaya "KHAIRUDDIN BA WAQT WAZU HAR AZO US WAQT TAK DHULTE RAHTE HAIN AZ EHKAM-E-ILAHI MAQBULIYAT HASIL NA HO JAAE , YAHI HAAL NAMAZ KA HAI ADA-E-NAMAZ MEN JABTAK YE ILHAM NA HO JAAE KI NAMAZ QUBOOL HO GAYI SIJDAH GAH SE SAR NAHI UTHATE ". 
Peer-o-murshid ne is mauqe par aap ko "DARYANISAR" ke khitab se sarfaraz farmaya . 

"DEKH LO SHAKL MERI KISKA AAINA HUN MAIN ,

YAAR KI SHAKL HAI AUR YAAR MEN FANA HU MAIN. "

                              ( Bedam )

Urs 

        Aap ka visaal 7 Safar 797 hijri men hua, chunki aap ko tanhayi pasand thi isiliye aap ne qasbah ke bahar ek talab jise Amhat ( ambetha ) kahte hain supurd-e-khaak kiya gaya. Har saal 7 Safar ko Hazrat ka Urs Mubarak ba waqt asar bade adab-o-ehtaram se manaya jata hai. 
" GORI SOWE SEJ PE SO MUKH PAR DALE KES, 
CHAL KHUSRO GHAR APNE SO SANJH BHAYI CHAHU DES. " 
                              ( Khusro )

Aulad-e-daryanisar (r.a)

                                                  Hazrat ki aulade INDIA men Sidhdhaur ( Barabanki - UP ) , Auliya Lalpur ( Barabanki - UP ) , Rasauli ( Barabanki - UP ),  Sursandah ( Barabanki - UP ) , Kanpur  aur PAKISTAN men Karachi , Lahaur , Islamabad men muqeem hain..

No comments:

Post a Comment